kyā  sunā.eñ  kisī  ko  haal  apnā
apne  dil  meñ  rahe  malāl  apnā
sharmsār-e-javāb  ho  na  sakā
bas-ki  ḳhuddār  thā  savāl  apnā
kis  ne  dekhā  nahīñ  hai  bād-e-urūj
sāya-e-charḳh  meñ  zavāl  apnā
hasrat-e-dīd  le  chale  ham  to
aap  dekhā  kareñ  jamāl  apnā
pech-dar-pech  gesu-e-mushkīñ
jā  ke  uljhā  kahāñ  ḳhayāl  apnā
dil  asīr-e-balā-e-zulf-e-darāz
mahv-e-fariyād  baal  baal  apnā
maut  aa.ī  na  iltijāoñ  se
aur  jiinā  huā  vabāl  apnā
hai  ye  pur-dard  dāstāñ  'mahrūm'
kyā  sunā.eñ  kisī  ko  haal  apnā