is  kā  gila  nahīñ  ki  duā  be-asar  ga.ī
ik  aah  kī  thī  vo  bhī  kahīñ  jā  ke  mar  ga.ī
ai  ham-nafas  na  pūchh  javānī  kā  mājrā
mauj-e-nasīm  thī  idhar  aa.ī  udhar  ga.ī
dām-e-ġham-e-hayāt  meñ  uljhā  ga.ī  umiid
ham  ye  samajh  rahe  the  ki  ehsān  kar  ga.ī
is  zindagī  se  ham  ko  na  duniyā  milī  na  diiñ
taqdīr  kā  mushāhida  karte  guzar  ga.ī
anjām-e-fasl-e-gul  pe  nazar  thī  vagarna  kyuuñ
gulshan  se  aah  bhar  ke  nasīm-e-sahar  ga.ī
bas  itnā  hosh  thā  mujhe  roz-e-vidā-e-dost
vīrāna  thā  nazar  meñ  jahāñ  tak  nazar  ga.ī
har  maujh-e-āb-e-sindh  huī  vaqf-e-pech-o-tāb
'mahrūm'  jab  vatan  meñ  hamārī  ḳhabar  ga.ī