badnām  huuñ  par  āshiq-e-badnām  tumhārā
nākām  huuñ  par  tālib-e-nākām  tumhārā
maiñ  is  ko  na  bechūñ  evaz-e-mulk-e-sulaimāñ
hai  sabt  sar-e-ḳhātim-e-dil  naam  tumhārā
yaañ  sāġhar-e-dil  ḳhūn-e-tamannā  se  bharā  hai
par  bāda-e-gulgūñ  se  vahāñ  jaam  tumhārā
mahrūmī-e-qismat  hai  mirī  ḳhaas  vagarna
mash.hūr-e-jahāñ  hai  karam-e-ām  tumhārā
jachte  nahīñ  nazroñ  meñ  mah-o-mehr  ke  jalve
rahtā  hai  tasavvur  sahar-o-shām  tumhārā
tum  jis  se  phiro  us  se  ho  bargashta  zamāna
dam  bharne  lagī  gardish-e-ayyām  tumhārā
ġhaflat  meñ  kaTī  jaatī  hai  'mahrūm'  javānī
achchhā  nazar  aatā  nahīñ  anjām  tumhārā