vo  ahd  ahd  hī  kyā  hai  jise  nibhāo  bhī
hamāre  va.ada-e-ulfat  ko  bhuul  jaao  bhī
bhalā  kahāñ  ke  ham  aise  gumān  vaale  haiñ
hazār  baar  ham  aa.eñ  hameñ  bulāo  bhī
bigaḌ  chalā  hai  bahut  rasm-e-ḳhud-kushī  kā  chalan
Darāne  vaalo  kisī  roz  kar  dikhāo  bhī
nahīñ  ki  arz-e-tamannā  pe  maan  hī  jaao
hameñ  is  ahd-e-tamannā  meñ  āzmāo  bhī
fuġhāñ  ki  qissa-e-dil  sun  ke  log  kahte  haiñ
ye  kaun  sī  na.ī  uftād  hai  haTāo  bhī
tumhārī  niiñd  meñ  Duubī  huī  nazar  kī  qasam
hameñ  ye  zid  hai  ki  jaago  bhī  aur  jagāo  bhī