maqām-e-shauq  se  aage  bhī  ik  rasta  nikaltā  hai
kaheñ  kyā  silsila  dil  kā  kahāñ  par  jā  nikaltā  hai
mizha  tak  aatā  jaatā  hai  badan  kā  sab  lahū  khiñch  kar
kabhī  kyā  is  tarah  bhī  yaad  kā  kāñTā  nikaltā  hai
dukān-e-dil  baḌhāte  haiñ  hisāb-e-besh-o-kam  kar  lo
hamāre  naam  par  jis  jis  kā  bhī  jitnā  nikaltā  hai
abhī  hai  husn  meñ  husn-e-nazar  kī  kār-farmā.ī
abhī  se  kyā  batā.eñ  ham  ki  vo  kaisā  nikaltā  hai
miyān-e-shahr  haiñ  yā  ā.inoñ  ke  rū-ba-rū  haiñ  ham
jise  bhī  dekhte  haiñ  kuchh  hamīñ  jaisā  nikaltā  hai
ye  dil  kyuuñ  Duub  jaatā  hai  usī  se  pūchh  lūñgā  maiñ
sitāra  shām-e-hijrāñ  kā  idhar  bhī  aa  nikaltā  hai
dil-e-muztar  vafā  ke  baab  meñ  ye  jald-bāzī  kyā
zarā  ruk  jaa.eñ  aur  dekheñ  natīja  kyā  nikaltā  hai