qadam  qadam  pe  kisī  imtihāñ  kī  zad  meñ  hai
zamīn  ab  bhī  kahīñ  āsmāñ  kī  zad  meñ  hai
har  ek  gaam  ulajhtā  huuñ  apne  aap  se  maiñ
vo  tiir  huuñ  jo  ḳhud  apnī  kamāñ  kī  zad  meñ  hai
vo  bahr  huuñ  jo  ḳhud  apne  kināre  chāTtā  hai
vo  lahar  huuñ  ki  jo  sail-e-ravāñ  kī  zad  meñ  hai
maiñ  apnī  zaat  pe  isrār  kar  rahā  huuñ  magar
yaqīñ  kā  khel  musalsal  gumāñ  kī  zad  meñ  hai
mire  vajūd  ke  andar  utartā  jaatā  hai
hai  koī  zahr  jo  merī  zabāñ  kī  zad  meñ  hai
lagī  huī  hai  nazar  aane  vaale  manzar  par
magar  ye  dil  ki  abhī  raftagāñ  kī  zad  meñ  hai
yahī  nahīñ  ki  faqat  rizq-e-ḳhvāb  band  huā
gadā-e-kū-e-hunar  bhī  sagāñ  kī  zad  meñ  hai
ufuq  ufuq  jo  mire  nuur  kā  ġhubār  uḌā
ye  kā.enāt  mire  ḳhāk-dāñ  kī  zad  meñ  hai