dhuup  jab  Dhal  ga.ī  to  saaya  nahīñ
ye  ta.alluq  to  koī  rishta  nahīñ
log  kis  kis  tarah  se  zinda  haiñ
hameñ  marne  kā  bhī  salīqa  nahīñ
sochiye  to  hazār  pahlū  haiñ
dekhiye  baat  itnī  saada  nahīñ
ḳhvāb  bhī  is  taraf  nahīñ  aate
is  makāñ  meñ  koī  darīcha  nahīñ
chalo  mar  kar  kahīñ  Thikāne  lageñ
ham  ki  jin  kā  koī  Thikānā  nahīñ
manzileñ  bhī  nahīñ  muqaddar  meñ
aur  palaTnā  hameñ  gavārā  nahīñ
dūsroñ  se  bhī  rabt-zabt  rakheñ
zindagī  hai  koī  jazīra  nahīñ
kab  bhaTak  jaa.e  'āftāb'  husain
aadmī  kā  koī  bharosa  nahīñ