har  phuul  hai  havāoñ  ke  ruḳh  par  khilā  huā
aur  meñ  huuñ  apne  ḳhvāb  ke  andar  khilā  huā
ye  maiñ  jo  raat  din  nahīñ  apne  havās  meñ
vo  baaġh  hai  zarūr  kahīñ  par  khilā  huā
kuchh  mere  sar  ko  bhī  thī  mahak  sī  chaḌhī  huī
kuchh  vo  bhī  sāmne  thā  barābar  khilā  huā
ḳhvāboñ  meñ  ḳhushbueñ  sī  ḳhayāloñ  meñ  rañg  se
ye  baaġh  ho  agar  kahīñ  bāhar  khilā  huā
kin  manzaroñ  meñ  mujh  ko  mahaknā  thā  'āftāb'
kis  regzār  par  huuñ  maiñ  aa  kar  khilā  huā