vo  sar  se  paañv  tak  hai  ġhazab  se  bharā  huā
maiñ  bhī  huuñ  aaj  josh-e-talab  se  bharā  huā
shorish  mire  dimāġh  meñ  bhī  koī  kam  nahīñ
ye  shahr  bhī  hai  shor-o-shaġhab  se  bharā  huā
haañ  ai  havā-e-hijr  hameñ  kuchh  ḳhabar  nahīñ
ye  shīsha-e-nashāt  hai  jab  se  bharā  huā
miltā  hai  aadmī  hī  mujhe  har  maqām  par
aur  maiñ  huuñ  aadmī  kī  talab  se  bharā  huā
Takrāo  jā  ke  sub.h  ke  sāġhar  se  'āftāb'
dil  kā  ye  jaam  va.ada-e-shab  se  bharā  huā