ghaḌī  ghaḌī  use  roko  ghaḌī  ghaḌī  samjhāo
magar  ye  dil  hai  ki  kuchh  dekhtā  hai  aao  na  taao
ab  us  ke  dard  ko  dil  meñ  liye  taḌapte  ho
kahā  thā  kis  ne  ki  us  ḳhush-nazar  se  aañkh  milāo
ajab  tarah  ke  jhamele  haiñ  ishq  meñ  sāhab
barat  sako  to  ho  ma.alūm  aaTe  daal  kā  bhaav
chalo  vo  aglā  sā  josh-o-ḳharosh  to  na  rahā
magar  ye  kyā  ki  milo  aur  haath  bhī  na  milāo
nazar  hai  shart  haqīqat  ko  dekhne  ke  liye
ki  har  bigāḌ  meñ  hote  haiñ  sau  tarah  ke  banāv
hamāre  haal  kā  kyā  hai  sudhar  hī  jā.egā
magar  ye  baat  ki  tum  apnī  uljhī  laT  suljhāo
hamārī  umr  bhī  guzrī  hai  is  ḳharābe  meñ
kahāñ  ke  hote  haiñ  ye  log  ahl-e-ishq  haTāo
kabhī  khilo  bhī  ye  kyā  hai  ki  'āftāb-husain'
paḌe  raho  yūñhī  ghar  par  kisī  ke  aao  na  jaao