asl  hālat  kā  bayāñ  zāhir  ke  sāñchoñ  meñ  nahīñ
baat  jo  dil  meñ  hai  mere  mere  lafzoñ  meñ  nahīñ
ik  zamāna  thā  ki  ik  duniyā  mire  hamrāh  thī
aur  ab  dekhūñ  to  rasta  bhī  nigāhoñ  meñ  nahīñ
koī  āseb-e-balā  hai  shahr  par  chhāyā  huā
bū-e-ādam-zād  tak  ḳhālī  makānoñ  meñ  nahīñ
rafta  rafta  sab  hamārī  raah  par  aate  ga.e
baat  hai  jo  ham  buroñ  meñ  achchhe  achchhoñ  meñ  nahīñ
apne  hī  dam  se  charāġhāñ  hai  vagarna  'āftāb'
ik  sitāra  bhī  mirī  vīrān  shāmoñ  meñ  nahīñ