dekhe  koī  ta.alluq-e-ḳhātir  ke  rañg  bhī
us  fitna-ḳhū  se  pyaar  bhī  hai  aur  jañg  bhī
dil  hī  nahīñ  hai  us  ke  tasavvur  meñ  shād-kām
ik  sarḳhushī  meñ  jhūmtā  hai  añg  añg  bhī
kuchh  rabt-e-ḳhās  asl  kā  zāhir  ke  saath  hai
ḳhushbū  uḌe  to  uḌtā  hai  phūloñ  kā  rañg  bhī
aisā  nahīñ  ki  aaTh  pahar  be-dilī  rahe
bajte  haiñ  ġham-kade  meñ  kabhī  jal-tarañg  bhī
dekhā  hai  aaj  us  ne  mujhe  muḌ  ke  'āftāb'
is  vāqiye  pe  ḳhush  bhī  huuñ  maiñ  aur  dañg  bhī