zarā  sī  der  ko  chamkā  thā  vo  sitāra  kahīñ
Thahar  gayā  hai  nazar  meñ  vahī  nazāra  kahīñ
kahīñ  ko  khīñch  rahī  hai  kashish  zamāne  kī
bulā  rahā  hai  tirī  aañkh  kā  ishāra  kahīñ
ye  lahr  bahr  jo  miltī  hai  har  taraf  dil  meñ
badal  gayā  hī  na  ho  zindagī  kā  dhārā  kahīñ
ye  soch  kar  bhī  to  us  se  nibāh  ho  na  sakā
kisī  se  ho  bhī  sakā  hai  mirā  guzāra  kahīñ
ravāñ-davāñ  raho  har-chand  'āftāb-husain'
dikhā.ī  detā  nahīñ  duur  tak  kināra  kahīñ