ga.e  manzaroñ  se  ye  kyā  uḌā  hai  nigāh  meñ
koī  aks  hai  ki  ġhubār  sā  hai  nigāh  meñ
hamā-vaqt  apnī  shabīh  ke  huuñ  maiñ  rū-ba-rū
koī  ashk  hai  ki  ye  ā.īna  hai  nigāh  meñ
koī  shahr-e-ḳhvāb  guzar  rahā  hai  ḳhayāl  se
koī  dasht-e-shām  sulag  rahā  hai  nigāh  meñ
kaf-e-dard  se  ġham-e-kā.enāt  kī  gard  se
vahī  miT  rahā  hai  jo  naqsh  sā  hai  nigāh  meñ
koī  tīrgī  hai  furāt-e-jāñ  meñ  ravāñ-davāñ
magar  ik  charāġh  sā  tairtā  hai  nigāh  meñ
ga.e  mausamoñ  kī  vo  sabz  rañg  hikāyateñ
koī  āb-e-surḳh  se  likh  gayā  hai  nigāh  meñ