kisī  nazar  ne  mujhe  jaam  par  lagāyā  huā  hai
so  kartā  rahtā  huuñ  jis  kaam  par  lagāyā  huā  hai
ġhalat  paḌe  na  kahīñ  pahlā  hī  qadam  ye  hamārā
ki  ham  ne  aañkh  ko  anjām  par  lagāyā  huā  hai
tamām  shahr  musharif-ba-kufr  ho  ke  rahegā
ye  jis  qimāsh  ke  islām  par  lagāyā  huā  hai
lagā  rakhe  haiñ  hazāroñ  hī  apne  kaam  par  us  ne
hameñ  bhī  koshish-e-nākām  par  lagāyā  huā  hai
pilātā  rahtā  huuñ  din-rāt  apnī  aañkh  se  paanī
shajar  ye  dil  meñ  tire  naam  par  lagāyā  huā  hai
vo  aur  hoñge  jo  ārām  se  guzār  rahe  haiñ
hameñ  to  us  ne  kahīñ  laam  par  lagāyā  huā  hai