kamī  rakhtā  huuñ  apne  kaam  kī  takmīl  meñ
mabādā  aap  kho  jā.ūñ  kahīñ  tamsīl  meñ
bahut  shiddat  rahī  pahle  kanār-e-chashm  tak
umaD  aayā  hai  ab  vo  sail  rūd-e-nīl  meñ
makān-e-jāñ  laraztā  hai  havā-e-hijr  se
charāġh-e-yād  ko  rakkheñge  kis  qindīl  meñ
ye  ghaḌiyāñ  aah  pe  mujh  se  gurezāñ  haiñ  agar
to  phir  maiñ  kyuuñ  rahūñgā  vaqt  kī  tahvīl  meñ
azāb-e-barq-o-bārāñ  thā  añdherī  raat  thī
ravāñ  thiiñ  kashtiyāñ  kis  shaan  se  is  jhiil  meñ