kisī  tarah  bhī  to  vo  raah  par  nahīñ  aayā
hamāre  kaam  hamārā  hunar  nahīñ  aayā
vo  yuuñ  milā  thā  ki  jaise  kabhī  na  bichhḌegā
vo  yuuñ  gayā  ki  kabhī  lauT  kar  nahīñ  aayā
ham  aap  apnā  muqaddar  sañvār  lete  magar
hamāre  haath  kaf-e-kūza-gar  nahīñ  aayā
ḳhabar  to  thī  ki  ma.āl-e-safar  hai  kyā  lekin
ḳhayāl-e-tark-e-safar  umr  bhar  nahīñ  aayā
maiñ  apnī  aañkh  ke  rauzan  se  dekh  saktā  huuñ
vo  phuul  bhī  jo  abhī  shāḳh  par  nahīñ  aayā
abhī  diloñ  kī  tanāboñ  meñ  saḳhtiyāñ  haiñ  bahut
abhī  hamārī  duā  meñ  asar  nahīñ  aayā