shab-e-siyāh  pe  vā  raushnī  kā  baab  to  ho
magar  ye  shart  hai  koī  sitāra-yāb  to  ho
maiñ  harf  ban  ke  tirī  ruuh  meñ  utar  jā.ūñ
mirā  suḳhan  tirī  mahfil  meñ  bāryāb  to  ho
savād-e-shab  ke  safar  meñ  sitāra-vār  chalūñ
tire  jamāl  kī  lau  merī  ham-rikāb  to  ho
kisī  tarah  to  ghaTe  dil  kī  be-qarārī  bhī
chalo  vo  chashm  nahīñ  kam  se  kam  sharāb  to  ho
asās-e-jism  uThā.ūñ  na.e  sire  se  magar
ye  sochtā  huuñ  ki  miTTī  mirī  ḳharāb  to  ho
vo  'āftāb'  lab-e-bām  bhī  utar  aa.e
magar  kisī  meñ  use  dekhne  kī  taab  to  ho