nigāh  ke  liye  ik  ḳhvāb  bhī  ġhanīmat  hai
vo  tīrgī  hai  ki  ye  raushnī  ġhanīmat  hai
chalo  kahīñ  pe  ta.alluq  kī  koī  shakl  to  ho
kisī  ke  dil  meñ  kisī  kī  kamī  ġhanīmat  hai
kam  o  ziyāda  pe  isrār  kyā  kiyā  jaa.e
hamāre  daur  meñ  itnī  sī  bhī  ġhanīmat  hai
badal  rahe  haiñ  zamāne  ke  rañg  kyā  kyā  dekh
nazar  uThā  ki  ye  nazzārgī  ġhanīmat  hai
na  jaane  vaqt  kī  gardish  dikhā.egī  kyā  ruḳh
guzar  rahī  hai  jo  ye  zindagī  ġhanīmat  hai
ġham-e-jahāñ  ke  jhameloñ  meñ  āftāb  'husain'
ḳhayāl-e-yār  kī  āsūdgī  ġhanīmat  hai