kartā  kuchh  aur  hai  vo  dikhātā  kuchh  aur  hai
dar-asl  silsila  pas-e-parda  kuchh  aur  hai
har-dam  taġhayyurāt  kī  zad  meñ  hai  kā.enāt
dekheñ  palak  jhapak  ke  to  naqsha  kuchh  aur  hai
jo  kuchh  nigāh  meñ  hai  haqīqat  meñ  vo  nahīñ
jo  tere  sāmne  hai  tamāshā  kuchh  aur  hai
rakh  vādi-e-junūñ  meñ  qadam  phūñk  phūñk  kar
ai  be-ḳhabar  sambhal  ki  ye  rishta  kuchh  aur  hai
tahrīr  aur  kuchh  hai  sar-e-matn-e-zindagī
aur  hāshiye  meñ  hai  jo  havāla  kuchh  aur  hai
har-chand  dil  dhaḌaktā  hai  pal  pal  ghaḌī  ghaḌī
lekin  jo  aaj  dil  ko  hai  dhaḌkā  kuchh  aur  hai
itnī  bhī  ehtiyāt  na  kar  jaan  'āftāb'
ḳhadshe  kuchh  aur  hote  haiñ  hotā  kuchh  aur  hai