jab  safar  se  lauT  kar  aane  kī  tayyārī  huī
be-ta.alluq  thī  jo  shai  vo  bhī  bahut  pyārī  huī
chaar  sāñseñ  thiiñ  magar  siine  ko  bojhal  kar  ga.iiñ
do  qadam  kī  ye  masāfat  kis  qadar  bhārī  huī
ek  manzar  hai  ki  āñkhoñ  se  saraktā  hī  nahīñ
ek  saa.at  hai  ki  saarī  umr  par  taarī  huī
is  tarah  chāleñ  badaltā  huuñ  bisāt-e-dahr  par
jiit  lūñgā  jis  tarah  ye  zindagī  haarī  huī
kin  tilismī  rāstoñ  meñ  umr  kaaTī  'āftāb'
jis  qadar  āsāñ  lagā  utnī  hī  dushvārī  huī