munāfiqat  kā  nisāb  paḌh  kar  mohabbatoñ  kī  kitāb  likhnā
bahut  kaThin  hai  ḳhizāñ  ke  māthe  pe  dāstān-e-gulāb  likhnā
maiñ  jab  chalūñgā  to  regzāroñ  meñ  ulfatoñ  ke  kañval  khileñge
hazār  tum  mere  rāstoñ  meñ  mohabbatoñ  ke  sarāb  likhnā
firāq  mausam  kī  chilmanoñ  se  visāl  lamhe  chamak  uTheñge
udaas  shāmoñ  meñ  kāġhaz-e-dil  pe  guzre  vaqtoñ  ke  baab  likhnā
vo  merī  ḳhvāhish  kī  lauh-e-tishna  pe  zindagī  ke  savāl  ubharnā
vo  us  kā  harf-e-karam  se  apne  qubūliyat  ke  javāb  likhnā
ga.e  zamānoñ  kī  dard  kajlā.ī  bhūlī  bisrī  kitāb  paḌh  kar
jo  ho  sake  tum  se  aane  vaale  dinoñ  ke  rañgīn  ḳhvāb  likhnā