de  rahe  haiñ  jis  ko  topoñ  kī  salāmī  aadmī
kyā  kahūñ  tum  se  ki  hai  kitnā  harāmī  aadmī
bhiiḌ  chhaT  jā.egī  tab  us  kī  samajh  meñ  aa.egā
ek  akelā  aadmī  hai  azdahāmī  aadmī
kyā  dikhāte  ho  miyāñ,  parcha  hameñ  aḳhbār  kā
ham  ne  dekhe  haiñ  bahut  naamī  girāmī  aadmī
paañv  meñ  juutā  nahīñ  hai,  peT  meñ  roTī  nahīñ
le  ke  kyā  chāTegā  ḳhālī  nek-nāmī  aadmī
uTh  ke  jā  baiThā  vahī  ashrāfiya  kī  god  meñ
ham  ġharīboñ  ne  jise  samjhā  avāmī  aadmī
qais  sāhab  kis  liye  bhaTkeñge  najd-e-shauq  meñ
mil  hī  jā.egā  koī  ham  sā  maqāmī  aadmī
dil  ki  hai  shīrāza-e-hastī  havā  kī  zad  pe  hai
aadmī  ai  aadmī  ai  intizāmī  aadmī