fasīl-e-shahr-e-tamannā  meñ  dar  banāte  hue
ye  kaun  dil  meñ  dar  aayā  hai  ghar  banāte  hue
nasheb-e-chashm-e-tamāshā  banā  gayā  mujh  ko
kahīñ  bulandi-e-ayyām  par  banāte  hue
maiñ  kyā  kahūñ  ki  abhī  koī  pesh-raft  nahīñ
guzar  rahā  huuñ  abhī  rahguzar  banāte  hue
kise  ḳhabar  hai  ki  kitne  nujūm  TuuT  gire
shab-e-siyāh  se  rañg-e-sahar  banāte  hue
pate  kī  baat  bhī  muñh  se  nikal  hī  jaatī  hai
kabhī  kabhī  koī  jhūTī  ḳhabar  banāte  hue
magar  ye  dil  mirā  ye  tā.ir-e-bahisht  mirā
utar  hī  aayā  kahīñ  mustaqar  banāte  hue
diloñ  ke  baab  meñ  kyā  daḳhl  'āftāb-husain'
so  baat  phail  ga.ī  muḳhtasar  banāte  hue