baiThā  huuñ  siyah-baḳht  o  mukaddar  isī  ghar  meñ
utrā  thā  mirā  māh-e-munavvar  isī  ghar  meñ
ai  saañs  kī  ḳhushbū  lab-o-āriz  ke  pasīne
kholā  thā  mire  dost  ne  bistar  isī  ghar  meñ
chaTkī  thiiñ  isī  kunj  meñ  us  hoñT  kī  kaliyāñ
mahke  the  vo  auqāt-e-mayassar  isī  ghar  meñ
afsāna-dar-afsāna  thī  muḌtī  huī  sīḌhī
ash.ār-dar-ash.ār  thā  har  dar  isī  ghar  meñ
hotī  thī  harīfāna  bhī  har  baat  pe  ik  baat
rahtī  thī  raqībāna  bhī  aksar  isī  ghar  meñ
sharminda  huā  thā  yahīñ  pindār-e-imārat
chamkā  thā  faqīroñ  kā  muqaddar  isī  ghar  meñ
vo  jin  ke  dar-e-nāz  pe  jhuktā  thā  zamāna
aate  the  baḌī  duur  se  chal  kar  isī  ghar  meñ