bas  ek  baat  kī  us  ko  ḳhabar  zarūrī  hai
ki  vo  hamāre  liye  kis  qadar  zarūrī  hai
diloñ  meñ  dard  kī  daulat  bachā  bachā  ke  rakho
ye  vo  matā.a  hai  jo  umr  bhar  zarūrī  hai
nahīñ  zarūr  ki  maqdūr  ho  to  saath  rakheñ
kabhī-kabhār  magar  nauhagar  zarūrī  hai
kabhī  to  khel  parinde  bhī  haar  jaate  haiñ
havā  kahīñ  kī  bhī  ho  mustaqar  zarūrī  hai
ye  kyā  zarūr  ki  mast  apne  aap  hī  meñ  raheñ
idhar  udhar  kī  bhī  kuchh  kuchh  ḳhabar  zarūrī  hai
mafar  nahīñ  ġham-e-duniyā  se  'āftāb-husain'
bahut  kaThin  hai  ye  manzil  magar  zarūrī  hai