rāsta  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
koī  kyā  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
vo  mahak  thī  ki  mujhe  niiñd  sī  aane  lagī  thī
phuul  sā  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
ye  kisī  ḳhvāb  kā  ahvāl  nahīñ  hai  ki  maiñ  ḳhvāb
dekhtā  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
ḳhvāb  the  jaise  parindoñ  ne  pare  bāñdhe  hoñ
silsila  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
mujh  ko  duniyā  ke  samajhne  meñ  zarā  der  lagī
maiñ  zarā  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
nazar  uThtī  thī  jidhar  bhī  mirī  manzar  manzar
zāviya  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
vo  nikaltā  huā  thā  ḳhvāb-kade  se  apne
ḳhvāb  thā  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
ik  sirā  jā  ke  pahuñchtā  thā  tirī  yādoñ  tak
dūsrā  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
kyā  batā.ūñ  koī  īmān  kahāñ  lā.egā
ki  ḳhudā  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā
sub.h  jab  aañkh  khulī  logoñ  kī  logoñ  pe  khulā
jo  bhī  thā  ḳhvāb  ke  andar  se  nikaltā  huā  thā