tumhāre  baad  rahā  kyā  hai  dekhne  ke  liye
agarche  ek  zamāna  hai  dekhne  ke  liye
koī  nahīñ  jo  varā-e-nazar  bhī  dekh  sake
har  ek  ne  use  dekhā  hai  dekhne  ke  liye
badal  rahe  haiñ  zamāne  ke  rañg  kyā  kyā  dekh
nazar  uThā  ki  ye  duniyā  hai  dekhne  ke  liye
zarā  jo  fursat-e-nazzārgī  mayassar  ho
to  ek  pal  meñ  bhī  kyā  kyā  hai  dekhne  ke  liye
guzar  rahā  hai  jo  chehre  pe  haath  rakkhe  hue
ye  dil  usī  ko  tarastā  hai  dekhne  ke  liye
nahīñ  hai  tāb-e-nazzāra  hī  'āftāb'  husain
vagarna  dahr  meñ  kyā  kyā  hai  dekhne  ke  liye