fankār  ḳhud  na  thī  mire  fan  kī  sharīk  thī
vo  ruuh  ke  safar  meñ  badan  kī  sharīk  thī
utrā  thā  jis  pe  bāb-e-hayā  kā  varaq  varaq
bistar  ke  ek  ek  shikan  kī  sharīk  thī
maiñ  ek  e'tibār  se  ātish-parast  thā
vo  saare  zāviyoñ  se  chaman  kī  sharīk  thī
vo  nāzish-e-sitāra  o  tannār-e-māhtāb
gardish  ke  vaqt  mere  gahan  kī  sharīk  thī
vo  ham-jalīs-e-sāniha-e-rahmat-e-nashāt
āsā.ish-e-salīb-o-rasan  kī  sharīk  thī
nā-qābil-e-bayān  añdheroñ  ke  bāvajūd
merī  duā-e-sub.h  vatan  kī  sharīk  thī