kisī  to  kaam  zamāne  ke  sogvār  aa.e
tujhe  jo  pā  na  sake  ziist  ko  sañvār  aa.e
thā  jis  pe  va.ada-e-firdaus-o-āqibat  kā  madār
vo  raat  ham  sar-e-kū-e-butāñ  guzār  aa.e
tire  ḳhayāl  pe  shab-ḳhūñ  to  ḳhair  kyā  karte
bahut  huā  to  ik  ochhā  sā  haat  maar  aa.e
matā-e-dil  hī  bachī  thī  bas  ik  zamāne  se
so  ham  ise  bhī  tirī  anjuman  meñ  haar  aa.e
baḌe  ḳhulūs  se  ahvāl  pūchhne  ke  liye
guzar  ga.ī  shab-e-furqat  to  mere  yaar  aa.e
kisī  ko  haal  batānā  zarūr  hī  kyā  thā
us  anjuman  se  ham  apne  qusūr-vār  aa.e
nigāh-e-nāz  mire  dil  ke  ghaav  par  mat  jā
ḳhudā  kare  ki  tujhe  apnā  kārobār  aa.e
ye  aur  baat  ki  saaqī  se  qarz  mil  na  sakī
huzūr-e-hazrat-e-yazdāñ  to  bā-vaqār  aa.e