tere  chehre  kī  tarah  aur  mire  siine  kī  tarah
merā  har  sher  damaktā  hai  nagīne  kī  tarah
phuul  jaage  haiñ  kahīñ  tere  badan  kī  mānind
os  mahkī  hai  kahīñ  tere  pasīne  kī  tarah
ai  mujhe  chhoḌ  ke  tūfān  meñ  jaane  vaalī
dost  hotā  hai  talātum  meñ  safīne  kī  tarah
ai  mire  ġham  ko  zamāne  se  batāne  vaalī
maiñ  tirā  raaz  chhupātā  huuñ  dafīne  kī  tarah
terā  va.ada  thā  ki  is  maah  zarūr  aa.egī
ab  to  har  roz  guzartā  hai  mahīne  kī  tarah