huī  ījād  na.ī  tarz-e-ḳhushāmad  ki  nahīñ
kal  kā  aa.iin  hai  ab  tak  sar-e-masnad  ki  nahīñ
aa  ga.ī  ai  mire  saa.e  se  bhī  bachne  vaalī
rafta  rafta  tire  iqrār  kī  sarhad  ki  nahīñ
nahr-e-ḳhūñ  ho  chukī,  farhād  kī  mazdūrī  ko
ab  ke  teshe  se  milī  qīmat-e-sā.ad  ki  nahīñ
nāsehā  is  liye  maiñ  gosh-bar-āvāz  na  thā
tirī  āvāz  se  chhoTā  hai  tirā  qad  ki  nahīñ