bujh  ga.ī  sham-e-haram  bāb-e-kalīsā  na  khulā
khul  ga.e  zaḳhm  ke  lab  terā  darīcha  na  khulā
dar-e-tauba  se  bagūloñ  kī  tarah  guzre  log
abr  kī  tarah  umaD  aa.e  jo  mai-ḳhāna  khulā
shahr-dar-shahr  phirī  mirī  gunāhoñ  kī  bayāz
ba.az  nazroñ  pe  mirā  soz-e-hakīmāna  khulā
nāznīnoñ  meñ  rasā.ī  kā  ye  aalam  thā  kabhī
laakh  pahroñ  meñ  bhī  darvāze  pe  darvāza  khulā
ham  parī-zādoñ  meñ  khele  shab-e-afsūñ  meñ  pale
ham  se  bhī  tere  tilismāt  kā  uqda  na  khulā
ek  ik  shakl  ko  dekhā  hai  baḌī  hasrat  se
ajnabī  kaun  hai  aur  kaun  shanāsā  na  khulā
ret  par  pheñk  ga.ī  aql  kī  gustāḳh-labī
phir  kabhī  kashf-o-karāmāt  kā  dariyā  na  khulā