is  tilsim-e-roz-o-shab  se  to  kabhī  niklo  zarā
kam  se  kam  vijdān  ke  sahrā  hī  meñ  ghūmo  zarā
naam  kitne  hī  likhe  haiñ  dil  kī  ik  mehrāb  par
hogā  in  meñ  hī  tumhārā  naam  bhī  DhūñDo  zarā
bad-gumānī  kī  yahī  ġhairoñ  ko  kaafī  hai  sazā
muskurā  kar  phir  usī  din  kī  tarah  dekho  zarā
vaqt  ke  patthar  ke  nīche  ik  dabā  chashma  huuñ  maiñ
aao  pyāso  mil  ke  ye  patthar  uThāo  to  zarā
husn  ik  dariyā  hai  sahrā  bhī  haiñ  us  kī  raah  meñ
kal  kahāñ  hogā  ye  dariyā  ye  bhī  to  socho  zarā
do  kaloñ  ke  biich  meñ  ik  aaj  huuñ  uljhā  huā
merī  is  kam-fursatī  ke  karb  ko  samjho  zarā
vus.at-e-kaun-o-makāñ  bhī  ab  huī  jaatī  hai  tañg
aur  bhī  kuchh  ai  junūñ  vaalo  abhī  simTo  zarā
thak  ga.e  hoge  bahut  pur-pech  thī  chāhat  kī  raah
aao  merī  god  meñ  sar  rakh  ke  sustā  lo  zarā
ek  miTte  lafz  ke  bhī  kaam  aa  jaao  kabhī
sañg-e-dil  par  miTne  se  pahle  mujhe  likh  lo  zarā
hai  ta.āqub  meñ  'na.īmī'  saaya  sā  ik  roz  o  shab
dost  hī  shāyad  ho  koī  muḌ  ke  to  dekho  zarā