Ahmad Javed

nihaal-e-wasl nahin sang-bar karne ko

Ahmad Javed

1948

nihāl-e-vasl nahīñ sañg-bār karne ko

bas ek phuul hai kaafī bahār karne ko

kabhī to apne faqīroñ dil-kushā.ī kar

ka.ī ḳhazāne haiñ tujh par nisār karne ko

ye ek lamhe duurī bahut hai mere liye

tamām umr tirā intizār karne ko

kashish kare hai vo mahtāb dil ko zoroñ

chalā ye qatra bhī qulzum nisār karne ko

to phir ye dil na le aa.uuñ ḳhuub chamkā kar

tire jamāl ā.īna-dār karne ko

qabā-e-marg ho raḳht-e-zindagī ai dost

mile haiñ donoñ mujhe taar taar karne ko

bahut kaam diyā hai mujhe un āñkhoñ ne

havāla-e-dil-e-nā-kardā-kār karne ko

Top Urdushayar.com