Ahmad Javed

achchhi guzar rahi hai dil-e-KHud-kafil se

Ahmad Javed

1948
achchhī guzar rahī hai dil-e-ḳhud-kafīl se
lañgar se roTī lete haiñ paanī sabīl se
duniyā kā koī daaġh mire dil ko kyā lage
māñgā na ik diram bhī kabhī is baḳhīl se
kyā boriyā-nashīñ ko havas taaj o taḳht kī
kyā ḳhāk-āshnā ko ġharaz asp o fiil se
dil kī taraf se ham kabhī ġhāfil nahīñ rahe
karte haiñ pāsbānī-e-shahr us fasīl se
gahvāra-e-safar meñ khulī hai hamārī aañkh
ta.amīr apne ghar kī huī sañg-e-mīl se
ik shaḳhs bādshāh to ik shaḳhs hai vazīr
goyā nahīñ haiñ donoñ hamārī qabīl se
duniyā mire paḌos meñ ābād hai magar
merī duā-salām nahīñ us zalīl se
'jāved' ek ġham ke sivā dil meñ hai bhī kyā
ham ghar chalā rahe haiñ matā-e-qalīl se
Top Urdushayar.com