tarī  talāsh  meñ  har  rahnumā  se  bāteñ  kiiñ
ḳhalā  se  rabt  baḌhāyā  havā  se  bāteñ  kiiñ
kabhī  sitāroñ  ne  bhejā  hameñ  koī  paiġhām
to  muddatoñ  meñ  kisī  āshnā  se  bāteñ  kiiñ
hamārī  ḳhair  manāo  ki  aaj  ḳhud  us  ne
baḌe  ḳhulūs  baḌī  iltijā  se  bāteñ  kiiñ
gunāh-gār  to  ramz-e-harīm  tak  pahuñche
savāb  vāloñ  ne  bāñg-e-darā  se  bāteñ  kiiñ
bahut  se  vo  the  jinhoñ  ne  butoñ  se  faiz  uThā.e
bahut  se  vo  the  jinhoñ  ne  ḳhudā  se  bāteñ  kiiñ
na  jaane  kab  se  sunāte  the  us  ko  ham  ahvāl
nazar  uThā.ī  to  phir  ibtidā  se  bāteñ  kiiñ
hazār  sher  kahe  yuuñ  to  kahne  vāloñ  ne
kisī  kisī  ne  dil-e-mubtalā  se  bāteñ  kiiñ