ḳhvāboñ  kā  guzar  dīda-e-bedār  se  hogā
ḳhushbū  kā  safar  har  dar-o-dīvār  se  hogā
phir  kāsa-e-sar  kūcha-e-qātil  meñ  sajeñge
ye  khel  to  jaarī  rasan-o-dār  se  hogā
har  harf  se  phūTegī  kiran  sub.h-e-junūñ  kī
har  baab  raqam  jur.at-e-iz.hār  se  hogā
pahchān  sharāfat  kī  zar-o-māl  se  hogī
me.ār-e-suḳhan  jubba-o-dastār  se  hogā
har  sub.h  kī  nisbat  kisī  mazlūm  se  hogī
āġhāz  har  ik  shab  kā  sitamgār  se  hogā
'qaisar'  tire  lafzoñ  kī  kasak  yaad  rahegī
andesha-e-daurāñ  tire  ash.ār  se  hogā