tum  vaqt-e-sahar  rauzan-e-dīvār  meñ  dekho
laalī  sī  kahīñ  sub.h  ke  āsār  meñ  dekho
har  jins  kī  qīmat  hai  mire  sar  se  ziyāda
ruk  kar  to  kabhī  kūcha  o  bāzār  meñ  dekho
thak-hār  ke  sīkhe  haiñ  masāfat  ke  qarīne
ik  taaza  safar  sāya-e-dīvār  meñ  dekho
ye  atlas  o  kim-ḳhvāb  mirā  asl  nahīñ  haiñ
milnā  ho  to  mujh  ko  mire  pindār  meñ  dekho
ab  jurm  hai  ham-sā.e  kā  ham-sā.e  se  milnā
ye  taaza  ḳhabar  aaj  ke  aḳhbār  meñ  dekho
maiñ  niiñd  meñ  chaltā  huā  kho  jā.ūñ  na  'qaisar'
aahaT  mire  qadmoñ  kī  shab-e-tār  meñ  dekho