apne  hī  log  apne  nagar  ajnabī  lage
vāpas  ga.e  to  ghar  kī  har  ik  shai  na.ī  lage
ḳhānoñ  meñ  baT  chukī  thī  samundar  kī  vus.ateñ
dariyā  mohabbatoñ  ke  simaTtī  nadī  lage
rātoñ  kī  bheñT  chaḌh  ga.e  vo  chāñd  jaise  log
tārīkiyoñ  ke  dev  jinheñ  kāġhzī  lage
sonā  sameTtī  thī  jahāñ  khetiyoñ  meñ  dhuup
vo  fasl  mere  gaañv  kī  ḳhāshāk  sī  lage
raavī  kī  shaam  sindh  kī  nikhrī  huī  sahar
kaam  aa  sake  to  un  ko  mirī  zindagī  lage
'qaisar'  diloñ  ke  fāsle  aaise  na  the  kabhī
do  gaam  tai  karūñ  to  mujhe  ik  sadī  lage