shahr  kī  rasm  hai  purānī  vahī
sāzisheñ  taaza  haiñ  kahānī  vahī
dard  ke  mausamoñ  se  kyā  ummīd
sab  balā.eñ  haiñ  āsmānī  vahī
phir  se  khīñcho  hifāzatoñ  ke  hisār
phir  hai  dariyāoñ  kī  ravānī  vahī
ham  faqīroñ  ke  hausle  dekho
zaḳhm  jitne  hoñ  sargirānī  vahī
saare  āsār  haiñ  judā.ī  ke
surma.ī  shaam  hai  suhānī  vahī
ḳhaar  bo.e  to  zaḳhm  pāleñge
vaqt  dohrā.egā  kahānī  vahī
yuuñ  to  sadiyāñ  guzar  ga.iiñ  'qaisar'
dil  ke  sadme  tirī  javānī  vahī