ab  duur  talak  yaad  kā  sahrā  hai  nazar  meñ
kuchh  roz  to  rahnā  hai  isī  rāhguzar  meñ
ham  pyaas  ke  jañgal  kī  kamīñ-gah  se  na  nikle
dariya-e-ināyat  kā  kināra  thā  nagar  meñ
kis  ke  liye  hāthoñ  kī  lakīroñ  ko  ubhāreñ
apnā  to  har  ik  pal  hai  sitāroñ  ke  asar  meñ
ab  ḳhvāb  bhī  dekhe  nahīñ  jaate  ki  ye  āñhkeñ
bas  jāgtī  rahtī  haiñ  tire  sāya-e-dar  meñ
kis  ke  liye  pairoñ  ko  aziyyat  meñ  rakhā  jaa.e
ḳhud  DhūñD  ke  tanhā.ī  chalī  aa.ī  hai  ghar  meñ
phir  zill-e-ilāhī  ke  savāroñ  kī  sadā  aa.ī
phir  kaun  huā  morid-e-ilzām  nagar  meñ
'qaisar'  bhī  salīb  apnī  uThā.e  hue  guzrā
kahte  haiñ  ki  ḳhuddār  thā  jiine  ke  hunar  meñ