sadiyoñ  tumhārī  yaad  meñ  sham.eñ  jalā.eñge
pal  bhar  ke  ba.ad  phir  bhī  tumheñ  bhuul  jā.eñge
ta.amīr  mudda.ā  talab-e-zauq  ho  ga.ī
buniyād-e-dard  hogī  to  dīvār  uThā.eñge
ab  kāhish-e-junūñ  kā  koī  silsila  nahīñ
haañ  be-dilī  se  dast-e-duā  bhī  uThā.eñge
ai  kārvān-e-tez-qadam  māñdgāñ  ko  dekh
āñkhoñ  meñ  kyā  ġhubār-e-sar-e-rah  sajā.eñge
likkheñge  qahqahoñ  se  bas  ik  dāstān-e-dil
us  par  hadīs-e-dard  kā  unvāñ  jamā.eñge
yūñhī  sahī  jo  garmī-e-bāzār  ham  se  hai
ham  bech  kar  zamīr-e-nazar  muskurā.eñge
yā  chāk-e-dil  ko  chāk-e-garebāñ  banā  sakeñ
yā  duḳhtarān-misr  se  dāman  bachā.eñge
kyā  raḳhsh-e-umr  hīla-e-marg-āshnā  nahīñ
uTThegī  mauj-e-reg-e-ravāñ  Duub  jā.eñge
harf-āshnā  na  hogī  koī  mauj-e-dard-e-dil
siine  pe  rakh  ke  haath  magar  baiTh  jā.eñge