Arif Ansari

rahti hai saba jaise KHushbu ke taaqub mein

Arif Ansari

rahtī hai sabā jaise ḳhushbū ke ta.āqub meñ

kuchh yuuñ zamāna hai urdu ke ta.āqub meñ

lauTe nahīñ ab tak vo barsoñ hue nikle the

pāzeb chāhat meñ ghuñgrū ke ta.āqub meñ

ik jaadū Dibiyā hai jo un khilaunā hai

bachche nahīñ rahte ab jugnū ke ta.āqub meñ

ma.asūm āñkhoñ se ik buuñd Tapkī thī

bādal umaD aa.e haiñ aañsū ke ta.āqub meñ

naqqāloñ ke pīchhe kyuuñ phirte ho hunar vaalo

dekhā hai kyā sāgar ko sarjū ke ta.āqub meñ

afkār ke phūloñ vaadī hai hadaf 'ārif'

har shā.ir-e-urdu hai ḳhushbū ke ta.āqub meñ

Top Urdushayar.com