maiñ  ki  ḳhud  apne  hī  andar  huā  TukḌe  TukḌe
ya.anī  kuuḌe  meñ  samundar  huā  TukḌe  TukḌe
is  imārat  kā  muqaddar  huā  TukḌe  TukḌe
jis  kī  buniyād  meñ  patthar  huā  TukḌe  TukḌe
koī  laġhzish  kisī  lamhe  se  huī  thī  shāyad
gardish-e-vaqt  kā  mehvar  huā  TukḌe  TukḌe
chaḌhte  sūraj  kī  utarte  hī  kiran  āñkhoñ  meñ
mere  har  ḳhvāb  kā  manzar  huā  TukḌe  TukḌe
jism  meñ  phail  gayā  kāñch  ke  rezoñ  kī  tarah
kaun  ehsās  ke  andar  huā  TukḌe  TukḌe
yaad  itnā  hai  gale  mujh  se  milā  thā  koī
phir  mirī  pusht  meñ  ḳhanjar  huā  TukḌe  TukḌe
vaqt  kī  dhaar  pe  lamhoñ  ke  sipāhī  kī  tarah
merī  har  saañs  kā  lashkar  huā  TukḌe  TukḌe