Mardan Safi

tu hi hai meri ye bud-o-baqa tu aur nahin main aur nahin

Mardan Safi

hai mirī ye būd-o-baqā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

dekhā jo apne ko milā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

adam thā parda-nashīñ mire dil ke makāñ hai makīñ

mirī hastī hai sab ye zuhūr tirā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

mire hosh-rubā ne hai fazl kiyā mujhe rāz-e-ḳhudā.ī apnā diyā

mirī ruuh meñ ruuh milā ke kahā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

kahtā hai ye mujh se merā sanam ki haiñ ek ye donoñ hudūs-o-qidam

kuchh farq nahīñ is meñ hai zarā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

'mardān-safī' mirā māh-e-laqā hai merī shakl meñ jalva-numā

mujh se ye kahtā hai kah de khulā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

Top Urdushayar.com