Mardan Safi

dil hai raushan ki hai dil mein ruKH-e-raushan un ka

Mardan Safi

dil hai raushan ki hai dil meñ ruḳh-e-raushan un kā
zer-e-fānūs-e-badan sham.a hai joban un kā
diid un kī hai visāl un kā tasavvur un kā
jaan un kī hai jigar un kā hai tan-man un kā
haiñ vo kāshāna-e-dil meñ kabhī āñkhoñ meñ kabhī
ḳhāna tan hai mirā ghar bhī aur āñgan un kā
hai tasavvur jo unhīñ kā to vo haiñ pesh-e-nigāh
ho ḳhayāl un ke sivā gar to hai rahzan un kā
haiñ tumhīñ meñ vo tum apne ko to dekho ho kaun
jin ko kahte ho ki hai arsh pe maskan un kā
jaan un kī hai har ik jaan kahāñ par vo nahīñ
donoñ aalam meñ yahī ramz hai muzman un kā
baiThe baiThe vo kiyā karte haiñ har gul pe nazar
dil-e-āshiq hai magar sair kā gulshan un kā
vo hamāre haiñ ham un ke haiñ unhīñ kā ye zuhūr
jaan un kī hai yahī jaan bhī tan-man un kā
aa ke ghar meñ mire 'mardāñ' na vo jaane paa.eñ
tā-qayāmat na chhuTe haath se dāman un kā
Top Urdushayar.com