ham  ḳharābe  meñ  basar  kar  ga.e  ḳhāmoshī  se
halqa-e-mauj  meñ  gauhar  ga.e  ḳhāmoshī  se
sā.at-e-vasl  qayāmat  kī  ghaḌī  Thahrī  thī
jism  ḳhāmosh  the  dil  Dar  ga.e  ḳhāmoshī  se
āzmā.ish  thī  kaḌī  kū-e-vafā  meñ  ki  jahāñ
kaj-kulah  aa.e  subuk-sar  ga.e  ḳhāmoshī  se
ham  tire  hijr  meñ  āvāra-suḳhan  ho  nikle
zaḳhm  jo  tū  ne  diye  bhar  ga.e  ḳhāmoshī  se
shikva-sanj-e-ġham-e-manzil  the  faqat  ham  varna
kārvāñ  kitne  safar  kar  ga.e  ḳhāmoshī  se
kū-e-mahbūb  kī  sham.oñ  ko  ḳhabar  hai  ki  nahīñ
saa.e  kis  samt  barābar  ga.e  ḳhāmoshī  se
dukh  ke  sannāTe  meñ  yaad  ā.eñge  tujh  ko  ham  se
jo  tire  dar  pe  sadā  kar  ga.e  ḳhāmoshī  se
jaane  zindāñ  ke  dar-o-bām  kā  andāz  hai  kyā
na.ara-zan  aa.e  jo  akasr  ga.e  ḳhāmoshī  se
kuchh  to  thī  lauh-e-azal  bā.is-e-barbādī-e-dil
vaar  ahbāb  bhī  kuchh  kar  ga.e  ḳhāmoshī  se
koī  mun.im  na  milā  dil  kā  ġhanī  yā  qismat
dar-ba-dar  tere  gadāgar  ga.e  ḳhāmoshī  se