Hamid Mukhtar Hamid

chahe kuchh ho zer-e-ehsan apni nadari na rakh

Hamid Mukhtar Hamid

chāhe kuchh ho zer-e-ehsāñ apnī nādārī na rakh
pattharoñ se bhar ke ye shīshe kī almārī na rakh
jañg tū jiite ki haare ye alag ik baat hai
zehn-o-dil par ḳhauf dushman kā magar taarī na rakh
aaḌī tirchhī kuchh lakīreñ hī mileñgī shaam tak
shahr ke chaurāhe par tū apnī fankārī na rakh
ye buzurgoñ kī ravā-dārī ke pazh-murda gulāb
ābiyārī chāhte haiñ in meñ chiñgārī na rakh
hai tire insāf kā terī tarāzū se vaqār
baaT halke hoñ to aage chiiz bhī bhārī na rakh
zindagī ke ā.īne kī aab hai 'hāmid' ḳhudī
apnī sāñsoñ se judā ehsās-e-ḳhud-dārī na rakh
Top Urdushayar.com