ham  ne  to  yahī  ma.arka  maarā  hai  safar  meñ
manzil  kī  tarah  baiTh  ga.e  rāhguzar  meñ
vo  sham-e-shab-anjām  kī  sūrat  to  nahīñ  thā
ik  pal  meñ  shab-e-nisf  utar  aa.ī  hai  ghar  meñ
ai  nāla-e-dil-doz  taḌap  uTThī  ḳhamoshī
hai  marg-e-tamāshā  kisī  ābād  nagar  meñ
ham  ḳhaak  ke  tuude  pe  khaḌe  pūchh  rahe  haiñ
kyā  lutf  milā  tum  ko  samundar  ke  safar  meñ
ham  sāya-e-dīvār-e-shikasta  meñ  paḌe  the
DhūñDoge  to  pāoge  hameñ  sāya-e-dar  meñ
ye  marhala-e-qat-e-ta.alluq  to  kaThin  thā
ik  dard  kā  dariyā  bhī  hai  ab  dīda-e-tar  meñ
ik  umr  ke  rishtoñ  ko  fanā  pal  meñ  milī  hai
ham  DhūñDne  kyā  nikle  haiñ  sadiyoñ  ke  safar  meñ
tārīk-o-ḳhunuk  ḳhaak  kā  paivand  hue  haiñ
ham  tol  ke  laa.e  the  jinheñ  la.al-o-gohar  meñ
yuuñ  terī  tarah  duur  kī  manzil  ke  musāfir
sab  kuchh  to  nahīñ  chhoḌ  ke  jaate  kabhī  ghar  meñ